Monday, April 27, 2020

Maa aur Mamta

"Maa" pukarau to ek sirhan si hoti hai dil mein aankhein jhuk jati hai

Maa sirf ek shabd hi nahi poori kaiynat sama jati hai is mein

Mamta aur Dular ki jeeti -jaagjti ek tasveer hai MAA

kehte hain paanch tatv ka bana hai ye maanav
 
lekin aisa nahi lagta hai bin Maa ke adhoora hai ye jeevan
 
kis kis naam se pukare tujhe kabhi MAA kabhi AAYI  kabhi Mata 

mein sath sath pranaam karti hu
 
Maa aur Santaan ka ye sambandh alokik  hai
 
itni shakti hai Maa mein lagta hai ek baar pukaru to sare dard sari balayein door ho jaye

kya farishta hai Maa ishwar ka nirala tohfa hai ye Maa

ek meethi aur madhur muskan se aangan mein bahar aa jaye

 
phool patte mehne lage , zindagi mein ek lehar si uth jaye yahi hai laad aur payar 

aankhon mein niswarth payar , samandhar si gehrai bas chale to doob jaye Maa ki mamta mein

vishal aakash si baahon ko phalye hamesha gale se lagane ko vyakul rehti hai Maa

santaan ke har dukh ko apna dukh jaan ke sehti hai wo hey Maa dhany hai tu

raat raat bhar jaag jaag kar payari kahanaiyan aur lori de kar sulati hai Maa

bin bole sab jaan jati hai wo , dabbe paunv apne bache ki aahat jaan jati hai wo
 
bolo na kya kahu aage ? meri kalam mein wo siyahi kahn se lau jo MAA
 
ke baare mein keh saku . mera naman hai un sabhi Maa ko 

jinhone janma hai is shristi ke avtaaron ko , ye Maa tu salamat rahe hamesha ye dua hai meri

teri saanson se judi hai saanse meri tu jahan rahe khush aur aabad rahe .


No comments: