Thursday, October 20, 2011

Apna

Pal bhar main apna bana gaya koi..
kyun jaate -jaate is dil par nishan chor gaya koi...
ik meetha sa dard , ik nanhi si chubhan chor gaya koi..
thama tha haath to pal do pal ke liye hi..
par ta umr apni mehak se mehka gaya koi..
dekho apna bana gaya koi..sabse juda kar gaya koi..
kahin dabbe paunv apni raunak chor gaya koi..
jaate -jaate aankhon main ik nami chor gaya koi..
bas apna bana gaya koi..yun tanha ki chor gaya koi..
yun din main hi khawab dikha gaya koi..
mujhe mujh se hi chura le gaya koi..!!!

Saturday, September 10, 2011

Teri Yaad Wich...

O lafz O jasbaat O ahsas main kithon liyawan..
tere naal payar diyan peengan hun main kinj pawa..
teri galan tere wadyan nu das hun main kinj nibhawan..?
yaad aaunda mainu tere payar bhare sunhare supniyan da jahaan,
jo hathi apne sanjoya te bade maan te fakr naal duniyan nu dikhaya tu ..
bade lada te payar nal apne sansar roopi baag nu sawarya te mehkaya tu
aj bhari duniya vch tu mainu kalyan chad chali, mainu tu hanjuan de hawale kar chali...
O din si jadd dulhan ban ke is deori vch aayi si tu..apne mehndi wale hathan naal
is ghar nu mehkaya si tu...
aj teri arthi nu apni hathi phulan naal sajaya main..tainu apne hathi torya main..
tere mathye nu aakhiri waar chumya main,teri yaadan nu apne sene vch hamesha waaste saja liya main...!

Thursday, July 28, 2011

Na roko hume...!!

Na roko hume bas aaj yun fana ho jane do..
na do hume kasmo aur wadon ka sadka
hume yun khamosh ho jaane do...
apne hone na hone ka kya kahen e-khuda tumse
ab mujhe mere wajoood se door ho jaane do..
na roko na thamho hath humara
ab mujhe is safar main tanha rahne do..
kho jaayen kahin veeranion main ,
na ho baharon ka zikr jahn..
mujhe meri hi yaadon main ab dafan hone do..
is shorgul se ghabarata hai dil humara..
ab khamoshion ko mujh main hi dhoob jane do ...
mujhe tanha rah jaane do...!!!

Thursday, June 23, 2011

lauta jaoo..

Tu tha to ye mehfil main ik alag raunak thi..

ik nasha , ik khumar tha tere hone ka...

baharon main bhi rangeen fizaon ka mausam tha..

khil-khilata tha chaman jahan har waqt , aur wo waqt bhi kya haseen tha.

kabhi mohabbat to kabhi ruswai teri..

in khathi meethi yaadon ka ik sawd nirala tha...

aur us swad main bhi ik andaz tera mastana tha..

tu jo gaya to veerani si chai rahti hai har dum..

na chehre par hasi na , na raunak tere shehar ki..

dil ka dia kuch bujha -bujha sa rahta hai hur dum..

mand saansein bhi thaki- thaki kahen mujhe se..

kya jadoo tha ? kya tha tere hone ka asar?

ki zindagi kabhi yun haseen na thi kabhi humsafar tere begair...

laut aao ik baar fir se , ki zindagi ko zindagi ke maiyene de jaoo..

chand lamhon main wo lamhein seekha jao..fir se in labhon par

wo muskan lauta jaoo..palkon ki neend aur us neend main tum se jure

hue wo khawab lauta jaooo...mera payar meri zindagi lauta jaoo...!!!


Tuesday, May 31, 2011

Aatank..

pal-pal jalte hazaron shehar aur un main jalti hui unginat zindagiyan..

har ik nai subha ka ik naya khauf leti ghut-ghut ke saans leti hui ye zindagi

kaale baadlon sa mandrata hua wo aantak ka dar...

kahin aag kahin dhamako ki awaaz se thar tharata hua ek -ek pal

masoom zindagi ko khota hua ye dar..

kahin roti bilakhti hui to kahin sharton ki odd main ik muskan pe jeeti hui ye zindagi..

kadam -kadam par maut se ladti hui ye aaj ki zindagi..

chand sikkon ke liye desh ko gairon ke haathon main bachte hue in gadaron ki zindagi...

aaj aankon se lahoo bahati hui ye khaufnak zindagi..

jago ye duniya walo ab na aayenge desh ko bachane kahin gandhi na bhagat singh kahin

na lal na bal na pal kahin...

na hoga fir koi naya avtaar yahn na honge kahin Ram na Krishan na Ishu na Nanak yahan..

nikal pahinkon in bhrastachaar aur desh ke gadaaron ko zehreele kaanton ki tarh..

sajao phoolon ki bagiya mehkao aangan ghar ghar ka...

fir se ik nayi shuruwaat karo apna desh khushhal karo..!!!

Sunday, May 22, 2011

jharokha

yaadhon ke ik jharokhe main ik jhalak tumhari ho..
dil ke aaiyne main saji ik tasveer tumhari ho..
aur us tasveer main saje har rang se rangi thodi si zindagi humari hi..!!!
jahan bichye zindagi main phool tumhare daman main..
wahin kahin kaanton se saji sej humari ho..
roshan rahe zindagi chaand taaron se tumhari...
bas kahin ik toote taare si zindagi basar humari ho...!!!
ho shiddat is kadr chahat main humari ki ho dard tumhe
to bheegi palkein humari hon...!!!
ho jaye kuch is tarah dua kabul humari ..
mile tujhe khushiyan bas kahin in khushiyon main ik jhalak
aur us jhalak main ik dhundali tasveer humari ho..!!!

Saturday, May 21, 2011


ye yaadein ye tanhayain aksar mujhe le jaati hai teri aur ...
jahan sirf andheron main lipti hui wo mohabbat apne sanam ko dhoondti hai..
anjan raaston main anjan logon se uska pata poochti hai..
kya dekha hai tumhe kahin meri mohabbat ko ???
ik aaine se saaf , ik samandar se gahri aankhon wali hai wo..
naram phoolon si aur siyah kaali jhulfon se saji hai wo...
kya dekha hai tumne kahin meri masoom mohabbat ko..??
aankhon main hazaron sapne saajye , jhilmilati hui aankhon se dekhti hai wo..
baandh leti hai apne honton se har lafz yun ki kaid ho jaaye zindagi ta umr uske lafzon par..yun
chipti -chipati rahti hai wo har pal khud hi ki nazron se aisi..!!!
hai kasish uski ki khamosh ho jaati hain fizayen .
ik khawab sa dikhti hai ..chupke se aati aur chupke se chali jaati hai wo...
dhoondti rahti hain ye aanhein use kya kahoon bas yahi kahti hoon ki kya tumne dekha hai use???
meri mohabbat hai wo mere dil ke kareeb hai wo..mere dil ke kareeb hai wo..!!!



Friday, April 15, 2011

zikr...

Aaj na chaand na taaron na sitaron ka zikr ho
bas ik zikr ho to zikr sirf tera ho..
na hawaaon ka na fizaon ka na baharon ka zikr ho
aaj sirf zikr tujhse teri mahkati saanson ka ho..!!!

na sabh na shabnam na maikhane na saaki ka zikr ho
aaj bas zikr ho to sanam tujh main dhoobi hui nasheeli raaton ka ho
hosh main na rahen aaj hosh humaare
ye dua karo ki aaj duaon main, sajdon main zikr ho to zikr sirf tera ho...!!!

na ho chahae saath zamaane bhar ka , chaahe na ho dor
rishton ki haath main..bas yahi khaoon ki jab ho saath tera
tab zikr na koi aur ho bas zikr sirf tera ho...bas zikr sifr tera ho..!!!




Wednesday, April 6, 2011

mohabbat..

Mujhe aksar mere khawabon main milti hai wo

ek meethi muskan leye , chahre par suraj sa tez

aankhon main satrangi sapne sajaaye haue...

ek khoobsurat paheli si wakiff hoti hai wo

makhmalli gulab ki pankhudi se honton par ..

hazaron os ki boondon se khwab sajaaye hue

apne hathon se sajda aur duayein karte hue

khud pe hazaron zakhm khaye hue

jeeti hai khush rahti hai wo..kon hai wo???

mil jaye ik bar to ye tamanna hai dil ki poochu us se..

kya rishta hai is dard , is bepanah mohabbat se tera???

na kar mohabbat toot jaogi bikhar jaogi ik din

fir na koi hoga rehbar tera , na sakha na saheli

chor jaayenge sab tujhe teri halat pe ae dost

bas nam aankhon se in yaadon ko yaad karogi..

jab jab tum hume yaad karogi...jab jab tum hume yaad karogi..!!!





Mujhe aksar mere khawabon main milti hai wo

ek meethi muskan liye , chehre par suraj sa tez liye

aankhon main indradhanushi sapne sajaaye hue..

bas ek paheli si wakif hoti hai mujhe...

makhmalli gulab ki pankudi se honton par ,

hazaron sawal os ki boondon se sajaaye hue..rahti hai wo...

apne haathon se sajda aur duaayein karte hue..

khud par hazaron zakam khaye hue..

fir bhi gairon ke zakhmon ko seene se lagaaye hue..

jeeti hai khush rahti hai wo..!!!

kon hai wo???

mil jaaye ik bar to ye tamanna hai meri ki poochu us se ..

.ki kya rishta hai tera is dard se???

is bepanah mohbbat se???

na kar mohabbat toot jaogi , bikhar jaogi ik din

fir na koi hoga rehbar tera na koi sakha na saheli...

chor jayenge sab tujhe teri halat pe ae dost,

bas nam aankhon se, yaadon ko yaad karogi jab -jab tum hume yaad karogi..

jab -jab tum hume yaad karogi...!!!




Friday, January 28, 2011

safed pano par..

zindagi ke chand safed safon par uski zindagi ke rangon se,
apni kalpana ko saakar karna chahta hoon..ik mukamal tasveer banana chahta hoon!!
mano ya na mano is bikhri hui duniya ko fir se sametna chahta hoon..
fir se un ukhadi hui saansein ko ...sambhalna chahta hoon...
na jaane kya kasish hai uske masoom se chehre par harpal..
ik uski is raunak ko khud main sama lena chahta hoon...!!!
us farishte ko khud se milwana chahta hoon...
gulab si khushboo apne aangan main bhi mehkana chahta hoon...
is veeran basti ko fir se aabaad karna chahta hoon..!!!
un haseen labon se ik meethi muskaan chura lena chahta hoon..
namm aankhon main khawabon ka ashiyana banana chahta hoo..
do izazat hume to , duniya se tumhe chupa ke rakhna chahta hoon..
ghazlon aur nazmon main tumko har dum likhna chahta hoon..
har pal har waqt tume apne lazfoz main motiyon sa pirona chahta hoon..!!!


Wednesday, January 12, 2011

अक्सर मेरे खवाबों के दवार पर खट-खटाता है कोई कोन है वो ?? कहाँ से आती है वो ???
कहाँ खो जाती है ??? यही ढूँढता हूँ हर वक़्त॥!!
सर से पाँव तक इक पहेली सी दिखती है वो
सियाह काली जुल्फों से बांध लेती है वो
अपने दो चंचल नयनों में मानो सागर कि गहरायी रखती है वो...
चले तो चारों तरफ पायल कि झंकारसुनाती वो...
बोले तो लगे दिल के तार छेड़ जाती है वो...
इक मीठी सी , इक धुंदली सी आशा दे जाती है वो...
खुद में इक जीने कि खवाइश जगा जाती है वो...
छूना चाहू गर उसे तो , छुई - मुई सी सिमट जाती है वो...
पलक झपकते ही मेरी आँखों से ओझल हो जाती है वो..!!!!