Thursday, May 28, 2015

Maa

Boht kam hein ye alfaz ye ahsas  "Maa "
tumhari aur humarai zindagi ko bayan karne ke liye

 askar meri khamoshi ko jaan leti thi tu
chup rahu ya kahun tujhe ye pehchan leti thi tu

 dil mein ye sawal hazaron baar aata hai
ki poochu tujh se ki "  Maa " ab mein kis se dil ki baat kahu

 shaam dhalne par kadam , thak ke choor hone par
teri chaun mein sukoon mil jata tha

  " Maa " tu mera maan , tu mera samaan , tu mera abhiman
mere har dard ki marham tu , meri har khushi ki pehli muskan tu

 jaise samandar mein naav ki patwar tu
meri dagmagate kadmon ko thaam leti thi tu

 zindagi itni asaan to na thi lekin
jaate jaate zindagi ko naye maiyne sikha gayi tu

 mehsoos hoti hai kami teri har jagah har taraf
bechain aankhein dhoondti hai tujhe har taraf

 goonjti hai awaazein , dhoondti hain nigahein
par majzoor bebas na choo pata hu na dekh pata hoon tumko

 bas mann hi mann duaon mein sazdon mein yaad karta hoon

 " Maa "  tujhe be panah payar karta hoon , raho salamat jahan bhi raho bas ye aakhiri dua karta hoon .