Saturday, June 27, 2009

Armanno ka aur khawaiyson ka silsila..
na kabhi khatam hua aur na kabhi hoga..
kabhi ye gila aapse to kabhi ye gila humse hoga..
jaante hain khoob ki hum bhi ek insaan hain..
ye shikwa aur shikayat hum se nahi to kya kuda se hoga...????
ye soch kar ki main khuda nahi, ek insaan hoon mujh main bhi..
ek masoom dil rehta hai...kya tujhye uss dard-e- dil ka ehsaas hota hai..????
usska dard, uss ka gum kya kya tujhye wo aansoo aur wo tadap deta hai...???


Sunday, June 7, 2009

Paheli..

Ye zindagi bhi ik paheli si hai...
kabhi hassati to kabhi rulati hai...
kya ajeeb sa khel rachati hai..
chand ke jaise aankh micholi khelti hai..
kabhi baadlon se dekh kar hasti hai to kabhi yahi...
baadlon main chup kar rulati hai..
kabhi andhera to kabhi ujjala deti hai...

Jindagi ko dekha hai bohat kareeb se maine..
aur yahi zindagi ko maine hamesha ke liye ..
ojhal hote huye bhi dekha hai..
kabhi yahi loo ke thapede aur kabhi ..
thandi hawa ke jhonke deti hai...

Kabhi yahi zindagi khushi ke aansu..
to kabhi yahi zindagi gum aur virha ke aanu deti hai...
door se dekho to bohat khoobsoorat aur haseen dikhti hai ...
paas se dekho to kaanto ke sej dikhti hai..
khuda ne bheja hai humhye ik zindagi jeene ko ..
jis main khushi, gum, gile, shikwe, pyar, mohabbat,nafrat..
aur na jaane kya kya..rangon se bhari hai ye zindagi???

Par issi zindagi main kabhi -kabhi kuch khaas log mil jaate hain..
jinhye dekh kar zindagi ka har dard khushi main badal jaata hai..
abb khuda se mujhye koi shikayat nahi..
ye zindagi tu jaise bhi hai..mujhye tujh se MOHABBAT hai..
bas ik yahi dua maangti hoon ki meri iss zindagi se kisi ko
shikayat na ho..agar ho to bas thoda pyar aur sirf pyar ho...aameen.