Sunday, May 24, 2009

Dua...

Khuda se eh -le -dil maangte hain ..
subha shaam unn ki khariyat mangte hain..
lag jaaye humari bhi umr unhe ,ye dua hum..
roz maangte hain...

Tum door raho ya paas ab itna jaan liziye..
dil to kayal ho gaya ab aap maaniye ya na maaniye..

le jao humye bhi apne kareeb..
ye dil chahta hai ek baar hi sahi..
teri dhadkano ko sunna chahta hai..
tere zism ki khushboo ko apne andar sama lena chahta hai...

Ek kasish hai tujhmain jo mujhye teri aur le jati hai..
ye kya hua hai humye ??? khud bhi bekhabar hain ..
shayad tabhi aayina bhi hum se sharmata hai..
humye dekh kar khud ba khud muskurata hai,
meri in nasheeli aankon ko wo khoob samjhta hai,
tabhi to in mad bhari aankon main, khud bhi doob jata hai...

Ab aa bhi jao ki waqt jaise thahar gaya ho..
aur ye palkein tumhare intazar main jaise ...
khud ko bhool gaye ho..

Ab itna karm farmaiye ki jald se jald khud ko mere kareeb le aaiye..
Ab sabr ki intaha ho gaye , ki tumhye ru-baru dekhne ki chah aur bhad gayi...
maangte hain duayein khuda se ki wo din aaye ki chhoo kar dekhun tumhye,
usska ehsaas karoon, aur rakh loo tumhye apne dil main sada ke liye...