Wednesday, August 1, 2012

Tu dil diyan galan ki jaane , us dil diyan darda ki jaane 
jin laya na rog mohabbat da oh in rangan nu kee jaane
pairan to vagde lahu da tu rang anokha ki jaane
kandiyan te turna sikh jaanda jad payar mohabbat tu jaane
eh dil diyan gala na tu jaane na main jaana , mera rabb anokha oh jaane 
akhan to vagde atru da tu mol ve bandya ki jaane
ah rog awala lag jaanda , jad koi apna ban jaanda 
jad koi apna ban jaanda ...!!!


Sunday, May 13, 2012

din main andhera sa hone laga, dekho ghataon ka jalwa bikhrne lagagarajti barasti boondon se ye aalam kuch khushnuma hone laga..thirakte paton se,kaampti daalion se naya ik sur taal bajne lagabheeni-bheeni  saundhi- saundhi si miti ka nya rang naya roop dikhne lagabarasti boondon main mano naya jaam chalakne lagateri kudrat ko dekh ye dil gudgudaane laga tujhe salaam kahne lagakahin bheegi-bheegi hawaon main ye masoom sa dil behkne lagadil par ab mere ikhtyar na rahne laga, deewana sa dil mujhe hi kuch kahne lagaho jaaye fana ik dooje par ye dil mujhe mujh se kahne laga..!!!

Thursday, May 3, 2012

Aaj fir khoon safed dikhayi diya hume.jaane anjaane fir se naya zakhm khaya humne
zakhm to khaye duniya bhar ke humne, ye naya zakhm ye naya dard apno se khaya humne..

der-der ki thokar se bach kar maa ke aanchal se maanga tha payar thoda dulaar 
wahi dutkar hume ji bhar ke mile, duayaen kam aur bad duaayein jahn besumar mile..

katra-katra khoon jinhe pilaya tha humne,
wahin rishton ke kaatil hume aam mile

raund dala sapno ka ghar , kyun hume aaj usi ghar ke khareedar hazaron mile...
jo bachi thi zinadgi pal do pal ki , usi zindagi ko aag lagane wale ghar ke hi chirag hume khoob mile

jal gaya aashiyana bujh gayi lo zindagi ki, kahi toote khawab ,kahi adhoore arman 
kahi aahe bharta ye dil to kahi sukhe aansu mujhe har baar mile..

aaj samet liya ye ghar jahn bikhre hue kaantein hume har roz mile
ye manzhar itna asan na tha jahn dil pe pattar humne kai hazar rakhe..

zindagi ke bache in chand lamhon ko, saare jhoote rishton ko, kuch gile aur kuch shikwon 
ke bojh ko asha aur nirasha ki umeedon ko maine apne haathon se dafan kar dala 
haan maine dafan kar dala.









Wednesday, April 11, 2012


"kehta hai wo har baar ki yu na kiya karo...yu siskiyan na liya karo , apni hatheloin par mera naam na likha karo mujhe yu deewano sa na chaha karo..yahi kehta hai wo har baar ki yu na mujhse mohabbat kia karo tadpta hai ye dil tujhe yaad kar ke tum yu na mere khawabon main aaya karo mujhe yu na sataya karo..ye samjahta hai wo aksar mujhe ki mohabbat itni aasan bhi nahi nange paaunv angaron par chalna bhi koi khel nahi..ye kahne ki baatein hai par mohabbat main aisa junoon bhi har kisi main nahi..bejaan zism main kabhi jaan ban jata hai wo , dheere se aa kar kadmo ko choom leta hai wo..mere har marz ki dawa ban jata hai wo..meri har khushi har gum main shareek ho jata hai wo...yahi kehta hai dil har baar mujhe ki pukaru tujhe is zameen , aasman se mangu tujhe ..kehta hai wo mujhe tu to mujh main rahti hai kahin , jidhar dekhu tu hi dikhti hai wahi aur kahn chupaun tujhe tu to zare-zare main dikhayi deti hai mujhe..teri saanson ko mehsoos karta hu main jab-jab yaad karta hu main ,ye dua hai me


ri ki abb ye zindagi tere naam kar doo, ik -ik saans abb tera naam likh do..

Tuesday, April 10, 2012


kehta hai wo har baar ki yu na kiya karo...
yu siskiyan na liya karo , apni hatheloin par mera naam na likha karo
mujhe yu deewano sa na chaha karo..
yahi kehta hai wo har baar ki yu na mujhse mohabbat kia karo
tadpta hai ye dil tujhe yaad kar ke tum yu na mere khawabon main aaya karo
mujhe yu na sataya karo..ye samjhta hai wo aksar mujhe ki mohabbat itni aasan bhi nahi
nange paaunv angaron par chalna bhi koi khel nahi..
ye kahne ki baatein hai par mohabbat main aisa junoon bhi har kisi main nahi..
bejaan zism main kabhi jaan ban jata hai wo , dheere se aa kar kadmo ko choom leta hai wo..
mere har marz ki dawa ban jata hai wo..meri har khushi har gum main shareek ho jata hai wo...
yahi kehta hai dil har baar mujhe , pukaru tujhe is zameen , aasman se mangu tujhe ..
kehta hai wo mujhe tu to mujhe main rahti hai kahin , jidhar dekhu tu hi dikhti hai wahi
kaise aur kahn chupaun tujhe tu to zare-zare main dikhayi deti hai mujhe..
teri saanson ko mehsoos karta hu main jab-jab yaad karta hu main
ye dua hai meri ki abb ye zindagi tere naam kar doo, ik -ik saanpar abb tera naam likh do..
kehta hai wo har baar ki yu na kiya karo...
yu siskiyan na liya karo , apni hatheloin par mera naam na likha karo
mujhe yu deewano sa na chaha karo..
yahi kehta hai wo har baar ki yu na mujhse mohabbat kia karo
tadpta hai ye dil tujhe yaad kar ke tum yu na mere khawabon main aaya karo
mujhe yu na sataya karo..ye samjhta hai wo aksar mujhe ki mohabbat itni aasan bhi nahi
nange paaunv angaron par chalna bhi koi khel nahi..
ye kahne ki baatein hai par mohabbat main aisa junoon bhi har kisi main nahi..
bejaan zism main kabhi jaan ban jata hai wo , dheere se aa kar kadmo ko choom leta hai wo..
mere har marz ki dawa ban jata hai wo..meri har khushi har gum main shareek ho jata hai wo...
yahi kehta hai dil har baar mujhe , pukaru tujhe is zameen , aasman se mangu tujhe ..
kehta hai wo mujhe tu to mujhe main rahti hai kahin , jidhar dekhu tu hi dikhti hai wahi
kaise aur kahn chupaun tujhe tu to zare-zare main dikhayi deti hai mujhe..
teri saanson ko mehsoos karta hu main jab-jab yaad karta hu main
ye dua hai meri ki abb ye zindagi tere naam kar doo, ik -ik saanpar abb tera naam likh do..

Wednesday, March 28, 2012

Tuesday, March 20, 2012

Tanha

Tanha - tanha sa rahta tha wo...
tanha dil , tanha raatein aur un raaton main tanha
khush rahta tha wo...
dunia ke shorogul se ghabrata tha wo aksar, lekin kahin usi shorogul ko
seene main chipaye rakhta tha wo...andar hi andar khud ko jalata tha wo
na koi dost n koi humsafar uska, bas khud se mohabbat aur khud se hi nafrat karta tha wo..
zuban par ik dard jhalkata tha uske par badi khoobsurati se us dard ko chipa leta tha wo...
payari si aankhon main zamaanein bhar ki nafrat sanjoye rakha tha wo..
hairan ho gayi aankein un aankhon ko dekh kar..
jahan rangeen sapno ki tsveer sajani thi use , wahin toote ,bikhre hue khawabon ke tukde
haathon main liye ghoomta tha wo..
dunia ki nazron main kahin shitan dikta tha wo to kahin mujhe usmain ik nanha sa farista dikhta tha wo..

Sunday, February 19, 2012

tere sehar ke log..

yaad aate hain mujhe tere sehar ke log
jab kadam teri sar zameen par rakha tha maine
kuch pal dhadka tha ye dil mera aur kuch pal bechain sa hua ye dil mera bhi
ik alag si tasveer thi mere zehan main wo jhat se badal gayi
wahi hawa wahi neela aasman , wahi koobsurat chaand taare aur unse lipti hui wahi chandani raate..
fir kya tha alag jo tumse juda karta tha??
wahi sunhahri dhoop wahi taro-tazagi kuch alag na tha jo tera tha wahi mera bhi
mishri se meethi zuban tere sehar ki haan tere sehar ki..
mano ya na mano dil main ghar kar gayi galiyan tere sehar ki..
ik nayi tasveer dekhi maine tere sehar ki..
mohabbat bhare dil aur payari si muskan dekhi tere sehar ki...!!!

Saturday, February 11, 2012

Apna banana chahta hoon.

kaise bayan karu , kaise haale dil sunau tujhe
kehne ko aasan sirf aasan hi nahi bas chand lafz hain jo zuban par lana chahta hoon...
tujhe main kya kahu ki main tujhe tujh se hi churana chahta hoon..
tu naram gulab si pankhuri se bhi nazuk , tere honton ko oss ki boondon se sajana chahta hoon
sabhnam se bikhri hui vaadyon main tere saath -saath chalna chahta hoon
aa tujhe main apne hathon se sajana chahta hoon ..
na lag jaaye nazar tujhe zamaane bhar ki kahin is dar se apni palkon main chipana chahta hoon
moond loon aankhon ko sada ke liye ki tujhe janmon - janmon ke liye apna banana chahta hoon..
main tumko tumhi se churana chahta hoon...na hon kabhi kaante teri raahon main .. main un raahon ko phoolon se sajana chahta hoon teri zindagi ko mehkana chahta hoon
ek -ek lafz , ek- ek vaade ka sila dena chahta hoon..
ye ahsas ye hale dil mera main tujhe sunana chahta hoon.. gar ho duaon main meri bhi asar to haan,tum se hi nahi haan khuda se tum ko mangna chahta hoon...
main tujhe apna banana chahta hoon...main tujhe apna banana chahta hoon!!!