Sunday, August 18, 2019

Resham Ki Dori

Aaj subha ka manzar to bohut khushnuma tha har taraf chehal pehla thi , khushi mehsoos ho rahi thi hawaon mein rang birangi reshami dhaagon ki doriyan , kumkum ki laali aur uspar chawal ki sajawat meethi , raseeli manbhawan meethayi se saji ye thali aaj bhai behan ke payar , uski lambi umr ki dua maangti behne sath hi sath unka payar mein roothna manana kitna sundar aur yaadgaar din hai ye RAKSHABANDHAN ka palak jhapkte hi Maa ki aankon mein chand aansu khushi ke jhat se gaalon par thehar gye kahin dekh na le koi in lamhon ko jhat se palat kar apni udas aankon ko samjhya aur kaha kya karti ho kyun udas hoti ho tum , wo bhi kya karti waqt kahin peeche le gya tha use bhare poore pariwar ki hasi thitholi kahin masti hamesha mauhaul khila khila rehta ,lekin n apna waqt to jaise thamm gya tha maiyke ka aangan ab na raha na rahi wo ghar ki raunak na rahe rishte jin par naaz tha mujhe waqt badla aur badla zamana bhi , ab kya kehna ? kis se kehna ? na koi sunne wala na koi kehne wala raha samjhaya khud ko yahi ki e dil zara thehar ja na beh jana kahin udasion ki lehron mein dheere dheere bheegi palkon ko fir se sanwara fir se ek muskan chehre par umad aayi jab bhai behan ne ye pavitr Rakhshabandhan ke tayohaar se Rakhi baandhi , ye dua karti hu ki ye payar kabhi khtam na ho kitne bhi ho door rahe par dil hamesha paas rahe khush rahe , salamat rahe .

Monday, August 5, 2019

Dabbe Paanv

Pal bhar main apna bana gaya koi..
kyun jaate -jaate is dil par par nishan chor gaya koi...
ik meetha sa dard , ik nanhi si chubhan chor gaya koi..
thama tha haath to pal do pal ke liye hi..
par ta umr apni mehak se mehka gaya koi..
dekho apna bana gaya koi..sabse juda kar gaya koi..
kahin dabbe paunv apni raunak chor gaya koi..
jaate -jaate aankhon main ik nami chor gaya koi..
bas apna bana gaya koi..yun tanha hi  chor gaya koi..
yun din main hi khawab dikha gaya koi..
mujhe mujh se hi chura le gaya koi..!!!



पल भर में अपना बना गया कोई , जाते - जाते  इस दिल पर निशाँ छोड़ गया कोई 
एक मीठा सा दर्द एक नन्ही सी चुभन दे गया कोई 
थामा था हाथ तो पल दो पल के लिए ही , ता उम्र  अपनी महक  से महका गया कोई 
देखो अपना बना गया कोई , सब से जुदा कर गया कोई 
दब्बे पॉंव अपनी रौनक छोड़ गया कोई , जाते- जाते  आँखों में एक नमी छोड़ गया कोई 
बस अपना बना गया कोई , यूँही तनहा छोड़ गया कोई , बस अपना बना गया कोई 
यूँ दिन में ख़वाब दिखा गया कोई , हाँ मुझे मुझ से ही चुरा ले गया कोई 


मुझे अपना बना गया कोई.

Diary

Bohut arse ke baad aaj meri dairy ke chand pano ko palta hai
kucch peele peele kuch pahte hue haalat ho gaye the uske
meri taraf kuch mayoosi se dekhte hue, kuch kehna cha rahe ho jaise
shayd mujh par hi hass rahe the , mere bhi halaat kuch aise h rahe
chah kar bhi kuch baatein jo in panno mein uatarna chahti thi na uatar paayi
ab wada hai mera usse ki phir se tujhe khoobsurat alfao se , rang birangi siyahi se tujhe sajaungi
haan ab mein tere sath waqt bitaungi .