Saturday, April 18, 2009

kyun???

Kyun khush ho jaati hoon main tumhari khushi dekh kar..
kyun ho jaati hoon main haataash tumhye udaas dekh kar???
chehak se uthti hoon main kyun jab milne ki baari aati hai...
par kyun milne ke baad ghanton neend nahi aati hai???
aankein band karne se kyun yaad tumhari aati hai, par jab khulti hai
to phir kyun tu saamne aata hai??. aansun tere tapkate hain to main kyun
sisakti hoon?? zara sa tu hasta hai to , main kyun nikharti hoon???
jab bhi dekhti hoon tumhye bas yahi sochti hoon..poochu tumse ya tumhye kahun,
rakhun dil main ye baat ya keh doo, sun zara bas itna bata main aise kyun hoon main aise kyun hoon???

Wednesday, April 8, 2009

Dard

Khabhi-kabhi hum yun hi apne aap se shikayat karte hain
ki kyun hum har insaan main ek farishte ko dhoondte hain???
kabhi na socha humne ki kyun hum kisi ka dard, kisi ke aansu
dekh kar khud uss dard main aur ansuon main apne aap doob jaate hain..

Wo chahye ya na chahye humye hum kyun usse be-panaah chahne lagte hain..
Uski hasi se hum haste to uski atkhelion se khud apne aap khelne lagte..
kabhi-kabhi ye ehsaas hota ki wo har pal in saanson main jaise sama gaya ho....
aur aisa mehsoos hone laga ki abb mera saya bhi mujhye chod ussye chahne laga ho...

Ek tadap jo har waqt mere saanson main mujhye tadpati hai..
mera ye dard wo kya jaane sirf main he jaanu..ki kyun iss bepanah ..
dard ko apne andar dhafna dena chahti hoon..

Kabhi-kabhi sochta hai ye kambhakat dil ki kyun itni chot khane..
par bhi, kyun har dam hasta hai ye dil? kyun muskurata hai ?? kyun
gungunata hai ye dil???

Haan ..aksar ishq main yun hi hota hai suna tha maine..
jab haste -haste insan rone lagye, khamoshiyon main
khud ko dubonye lage, jab dil main meetha -meetha
sa dard hone lage, raaton ko need na ho aur din
main taare gin ne lage...hmmm

Kash koi aisa ho jo mere iss bejaan zism se nahi..
meri ruh, meri saanson se,meri dil ki dhadkno se
meri meethi -meethi baaton se, meri iss masoom muskaan se pyar karta ho...

Pyar to ek khuda ka tohfa hai, jo paak aur beyloze hai....
Wo jaat na paat, na dharm, na umr dekhta hai..bas dekhta hai to mann
usska ek ehsaas hi kai janmon ki khushyon ka ehsaas de jaata hai...Ameen

Thursday, April 2, 2009

Tum

Khuda ko kabhi maine ru-baru to nahi dekha..
na hi kabhi uska didaar kiya hai....

aksar ek dhundali se parchayi dekhti hoon to..
lagta hai ki jaise..wo mere dil mai,meri aankhon main,
har pal har lamha mere saath rahta hai...

kabhi -kabhi yun hi khush ho jaati hoon ..
to kabhi -kabhi yun hi udaas bhi..to khud..
apne aap se kehti hoon ki....

Is nacheez ke khwabon ki tasveer ho tum..
mere dil ki dhadkno ki awaaz ho tum...

Gar tum in bejaan aankon ki roshini ban jaoo..
to kya ho???

Gar tum inhain khuch sunhare sapne de jaoo...
to kya ho???

Gar tum in labhon ko meethi muskaan de jaoo...
to kya ho???

Gar tum is dil main thoda pyar jaga jaoo
to kya ho???

Gar tum iss dard-e-dil ki dawa banjao...
to kya ho???

Gar iss bhatkte hue rahi ke rahgir ban jaoo...
to kya ho???

Haan ...gar na ho ye sab meri TAQDEER
main ...meri haathon ki lakeeron main to...

mere aakhiri chand pal apni aagosh main de jaoo...
to kya ho???