Tuesday, April 30, 2024

Aas ka panchi

 Kya chal raha hai kaise guzarta hai ye waqt ? 

Kabhi karte ho khud se baatein ya khud ko bhi kabhi undekha karte ho tum ?

Kitni Bhi deeware kitne bhi kaanch laga le hum duniya ke shorogul se bachne ke liye 

par kya apne dil  , apne mann ke shor ko shaant kar paoge tum ?

Suno na ek baat batao na , ki Dil ke aaiyne mein jo tasveer hai kya kabhi usse uske dil baat , ya uske dil ka haal poochte ho tum ?

Uske chehre pe lagi gard ko payar se pouncchte ho tum ?

Shayd wo bhi intezar mein guzaar raha hai waqt apna ki kisi na kisi din to dil pe dastak dega koi 

uljhne hain zindagi ke kaarobaar mein kuch is tarah 

to kya khud ko khud se milwane ko bhoolne lage ho tum ?

Kya chal raha hai aur kaise guzar raha hai waqt ye kya khud se sawaal karte ho tum ?

ye fitrat hai humahari tum chaho ya na chaho baar baar haal - e -dil ka haal poochenge hum 

aur apni yaad dilenge hum 

kon kya jaane kab tak hu main , kis haal main hu main 

kab tak apne hone na hone ka saboot denge tumhe hum 

Dil sochta hai udd jaye door bohut door kahin hum

ab band pinjaro mein dum ghut ta sa hai kahin 

kab tak aur kab tak ye sawaal khud se aur tumse kahenge hum 

ye aas ka panchi hai aas pe jeeta hai aur aas pe marta hai ek din .