Maa
Boht kam hein ye alfaz ye ahsas "Maa "
tumhari aur humarai zindagi ko bayan karne ke liye
askar meri khamoshi
ko jaan leti thi tu
chup rahu ya kahun tujhe ye pehchan leti thi tu
dil mein ye sawal
hazaron baar aata hai
ki poochu tujh se ki "
Maa " ab mein kis se dil ki baat kahu
shaam dhalne par
kadam , thak ke choor hone par
teri chaun mein sukoon mil jata tha
" Maa " tu
mera maan , tu mera samaan , tu mera abhiman
mere har dard ki marham tu , meri har khushi ki pehli muskan
tu
jaise samandar mein
naav ki patwar tu
meri dagmagate kadmon ko thaam leti thi tu
zindagi itni asaan to
na thi lekin
jaate jaate zindagi ko naye maiyne sikha gayi tu
mehsoos hoti hai kami
teri har jagah har taraf
bechain aankhein dhoondti hai tujhe har taraf
goonjti hai awaazein
, dhoondti hain nigahein
par majzoor bebas na choo pata hu na dekh pata hoon tumko
bas mann hi mann
duaon mein sazdon mein yaad karta hoon
" Maa
" tujhe be panah payar karta hoon ,
raho salamat jahan bhi raho bas ye aakhiri dua karta hoon .