Wednesday, March 28, 2012

Tuesday, March 20, 2012

Tanha

Tanha - tanha sa rahta tha wo...
tanha dil , tanha raatein aur un raaton main tanha
khush rahta tha wo...
dunia ke shorogul se ghabrata tha wo aksar, lekin kahin usi shorogul ko
seene main chipaye rakhta tha wo...andar hi andar khud ko jalata tha wo
na koi dost n koi humsafar uska, bas khud se mohabbat aur khud se hi nafrat karta tha wo..
zuban par ik dard jhalkata tha uske par badi khoobsurati se us dard ko chipa leta tha wo...
payari si aankhon main zamaanein bhar ki nafrat sanjoye rakha tha wo..
hairan ho gayi aankein un aankhon ko dekh kar..
jahan rangeen sapno ki tsveer sajani thi use , wahin toote ,bikhre hue khawabon ke tukde
haathon main liye ghoomta tha wo..
dunia ki nazron main kahin shitan dikta tha wo to kahin mujhe usmain ik nanha sa farista dikhta tha wo..