Sunday, May 13, 2012

din main andhera sa hone laga, dekho ghataon ka jalwa bikhrne lagagarajti barasti boondon se ye aalam kuch khushnuma hone laga..thirakte paton se,kaampti daalion se naya ik sur taal bajne lagabheeni-bheeni  saundhi- saundhi si miti ka nya rang naya roop dikhne lagabarasti boondon main mano naya jaam chalakne lagateri kudrat ko dekh ye dil gudgudaane laga tujhe salaam kahne lagakahin bheegi-bheegi hawaon main ye masoom sa dil behkne lagadil par ab mere ikhtyar na rahne laga, deewana sa dil mujhe hi kuch kahne lagaho jaaye fana ik dooje par ye dil mujhe mujh se kahne laga..!!!

Thursday, May 3, 2012

Aaj fir khoon safed dikhayi diya hume.jaane anjaane fir se naya zakhm khaya humne
zakhm to khaye duniya bhar ke humne, ye naya zakhm ye naya dard apno se khaya humne..

der-der ki thokar se bach kar maa ke aanchal se maanga tha payar thoda dulaar 
wahi dutkar hume ji bhar ke mile, duayaen kam aur bad duaayein jahn besumar mile..

katra-katra khoon jinhe pilaya tha humne,
wahin rishton ke kaatil hume aam mile

raund dala sapno ka ghar , kyun hume aaj usi ghar ke khareedar hazaron mile...
jo bachi thi zinadgi pal do pal ki , usi zindagi ko aag lagane wale ghar ke hi chirag hume khoob mile

jal gaya aashiyana bujh gayi lo zindagi ki, kahi toote khawab ,kahi adhoore arman 
kahi aahe bharta ye dil to kahi sukhe aansu mujhe har baar mile..

aaj samet liya ye ghar jahn bikhre hue kaantein hume har roz mile
ye manzhar itna asan na tha jahn dil pe pattar humne kai hazar rakhe..

zindagi ke bache in chand lamhon ko, saare jhoote rishton ko, kuch gile aur kuch shikwon 
ke bojh ko asha aur nirasha ki umeedon ko maine apne haathon se dafan kar dala 
haan maine dafan kar dala.