Sunday, February 19, 2012

tere sehar ke log..

yaad aate hain mujhe tere sehar ke log
jab kadam teri sar zameen par rakha tha maine
kuch pal dhadka tha ye dil mera aur kuch pal bechain sa hua ye dil mera bhi
ik alag si tasveer thi mere zehan main wo jhat se badal gayi
wahi hawa wahi neela aasman , wahi koobsurat chaand taare aur unse lipti hui wahi chandani raate..
fir kya tha alag jo tumse juda karta tha??
wahi sunhahri dhoop wahi taro-tazagi kuch alag na tha jo tera tha wahi mera bhi
mishri se meethi zuban tere sehar ki haan tere sehar ki..
mano ya na mano dil main ghar kar gayi galiyan tere sehar ki..
ik nayi tasveer dekhi maine tere sehar ki..
mohabbat bhare dil aur payari si muskan dekhi tere sehar ki...!!!

Saturday, February 11, 2012

Apna banana chahta hoon.

kaise bayan karu , kaise haale dil sunau tujhe
kehne ko aasan sirf aasan hi nahi bas chand lafz hain jo zuban par lana chahta hoon...
tujhe main kya kahu ki main tujhe tujh se hi churana chahta hoon..
tu naram gulab si pankhuri se bhi nazuk , tere honton ko oss ki boondon se sajana chahta hoon
sabhnam se bikhri hui vaadyon main tere saath -saath chalna chahta hoon
aa tujhe main apne hathon se sajana chahta hoon ..
na lag jaaye nazar tujhe zamaane bhar ki kahin is dar se apni palkon main chipana chahta hoon
moond loon aankhon ko sada ke liye ki tujhe janmon - janmon ke liye apna banana chahta hoon..
main tumko tumhi se churana chahta hoon...na hon kabhi kaante teri raahon main .. main un raahon ko phoolon se sajana chahta hoon teri zindagi ko mehkana chahta hoon
ek -ek lafz , ek- ek vaade ka sila dena chahta hoon..
ye ahsas ye hale dil mera main tujhe sunana chahta hoon.. gar ho duaon main meri bhi asar to haan,tum se hi nahi haan khuda se tum ko mangna chahta hoon...
main tujhe apna banana chahta hoon...main tujhe apna banana chahta hoon!!!