Thursday, June 23, 2011

lauta jaoo..

Tu tha to ye mehfil main ik alag raunak thi..

ik nasha , ik khumar tha tere hone ka...

baharon main bhi rangeen fizaon ka mausam tha..

khil-khilata tha chaman jahan har waqt , aur wo waqt bhi kya haseen tha.

kabhi mohabbat to kabhi ruswai teri..

in khathi meethi yaadon ka ik sawd nirala tha...

aur us swad main bhi ik andaz tera mastana tha..

tu jo gaya to veerani si chai rahti hai har dum..

na chehre par hasi na , na raunak tere shehar ki..

dil ka dia kuch bujha -bujha sa rahta hai hur dum..

mand saansein bhi thaki- thaki kahen mujhe se..

kya jadoo tha ? kya tha tere hone ka asar?

ki zindagi kabhi yun haseen na thi kabhi humsafar tere begair...

laut aao ik baar fir se , ki zindagi ko zindagi ke maiyene de jaoo..

chand lamhon main wo lamhein seekha jao..fir se in labhon par

wo muskan lauta jaoo..palkon ki neend aur us neend main tum se jure

hue wo khawab lauta jaooo...mera payar meri zindagi lauta jaoo...!!!