Tuesday, May 31, 2011

Aatank..

pal-pal jalte hazaron shehar aur un main jalti hui unginat zindagiyan..

har ik nai subha ka ik naya khauf leti ghut-ghut ke saans leti hui ye zindagi

kaale baadlon sa mandrata hua wo aantak ka dar...

kahin aag kahin dhamako ki awaaz se thar tharata hua ek -ek pal

masoom zindagi ko khota hua ye dar..

kahin roti bilakhti hui to kahin sharton ki odd main ik muskan pe jeeti hui ye zindagi..

kadam -kadam par maut se ladti hui ye aaj ki zindagi..

chand sikkon ke liye desh ko gairon ke haathon main bachte hue in gadaron ki zindagi...

aaj aankon se lahoo bahati hui ye khaufnak zindagi..

jago ye duniya walo ab na aayenge desh ko bachane kahin gandhi na bhagat singh kahin

na lal na bal na pal kahin...

na hoga fir koi naya avtaar yahn na honge kahin Ram na Krishan na Ishu na Nanak yahan..

nikal pahinkon in bhrastachaar aur desh ke gadaaron ko zehreele kaanton ki tarh..

sajao phoolon ki bagiya mehkao aangan ghar ghar ka...

fir se ik nayi shuruwaat karo apna desh khushhal karo..!!!

Sunday, May 22, 2011

jharokha

yaadhon ke ik jharokhe main ik jhalak tumhari ho..
dil ke aaiyne main saji ik tasveer tumhari ho..
aur us tasveer main saje har rang se rangi thodi si zindagi humari hi..!!!
jahan bichye zindagi main phool tumhare daman main..
wahin kahin kaanton se saji sej humari ho..
roshan rahe zindagi chaand taaron se tumhari...
bas kahin ik toote taare si zindagi basar humari ho...!!!
ho shiddat is kadr chahat main humari ki ho dard tumhe
to bheegi palkein humari hon...!!!
ho jaye kuch is tarah dua kabul humari ..
mile tujhe khushiyan bas kahin in khushiyon main ik jhalak
aur us jhalak main ik dhundali tasveer humari ho..!!!

Saturday, May 21, 2011


ye yaadein ye tanhayain aksar mujhe le jaati hai teri aur ...
jahan sirf andheron main lipti hui wo mohabbat apne sanam ko dhoondti hai..
anjan raaston main anjan logon se uska pata poochti hai..
kya dekha hai tumhe kahin meri mohabbat ko ???
ik aaine se saaf , ik samandar se gahri aankhon wali hai wo..
naram phoolon si aur siyah kaali jhulfon se saji hai wo...
kya dekha hai tumne kahin meri masoom mohabbat ko..??
aankhon main hazaron sapne saajye , jhilmilati hui aankhon se dekhti hai wo..
baandh leti hai apne honton se har lafz yun ki kaid ho jaaye zindagi ta umr uske lafzon par..yun
chipti -chipati rahti hai wo har pal khud hi ki nazron se aisi..!!!
hai kasish uski ki khamosh ho jaati hain fizayen .
ik khawab sa dikhti hai ..chupke se aati aur chupke se chali jaati hai wo...
dhoondti rahti hain ye aanhein use kya kahoon bas yahi kahti hoon ki kya tumne dekha hai use???
meri mohabbat hai wo mere dil ke kareeb hai wo..mere dil ke kareeb hai wo..!!!