Saturday, May 21, 2011


ye yaadein ye tanhayain aksar mujhe le jaati hai teri aur ...
jahan sirf andheron main lipti hui wo mohabbat apne sanam ko dhoondti hai..
anjan raaston main anjan logon se uska pata poochti hai..
kya dekha hai tumhe kahin meri mohabbat ko ???
ik aaine se saaf , ik samandar se gahri aankhon wali hai wo..
naram phoolon si aur siyah kaali jhulfon se saji hai wo...
kya dekha hai tumne kahin meri masoom mohabbat ko..??
aankhon main hazaron sapne saajye , jhilmilati hui aankhon se dekhti hai wo..
baandh leti hai apne honton se har lafz yun ki kaid ho jaaye zindagi ta umr uske lafzon par..yun
chipti -chipati rahti hai wo har pal khud hi ki nazron se aisi..!!!
hai kasish uski ki khamosh ho jaati hain fizayen .
ik khawab sa dikhti hai ..chupke se aati aur chupke se chali jaati hai wo...
dhoondti rahti hain ye aanhein use kya kahoon bas yahi kahti hoon ki kya tumne dekha hai use???
meri mohabbat hai wo mere dil ke kareeb hai wo..mere dil ke kareeb hai wo..!!!



4 comments:

कमलेश खान सिंह डिसूजा said...

एक ख्वाब सा दिखाती है...चुपके से आती और चुपके से चली जाती है वो.....

Mani Ji....हर बार की तरह शानदार प्रस्तुति :)
बहुत खूबसूरती के साथ शब्दों को पिरोया है इन पंक्तियों में आपने ||

hardeep said...

Wow ma'am.. Watta fantabulous lines u hv written.. Superb.. I mean really superb.. Ma'am may I knw who is ur source of inspiration??? From where u get the subject in ur mind?? I really salute to him/her.. Its just gr8..

Mani Singh said...

shukria kamlesh n hardeep ji .

Sumit Rathore said...

lovely Mani its really so awesome creation.great job ....aankhon main hazaron sapne saajye , jhilmilati hui aankhon se dekhti hai wo..all lines is marvelous..lovely..