Saturday, December 26, 2009

Mrigtrishna..

Dekho na ..ye dil bhi masoom kya jaane ...

ye sagar ki lehron se takrana chahta hai.
uski gehraayon main doob kar dekhna chahta hai..

aasman se taaron ko tor kar dekhna chahta hai..
dekhta hai jab ye manmohak indradhanush ko..
to uske rangon main khud ko bhigo lena chata hai..

baresti hui baadlon ki moti si boondon ko apne ..
aanchal main saja lena chahta hai..

phoolon ki khusboo se mast ho jana chahta hai..
banwaron ke raag main khud bhi gungunana chahta hai..

koi to samjhye is ziddi dil ko..
ki ye khudrat ki anmol sundarta ..aur anmol tohfa hai ..bas iska ahsas hi kafi hai..
ye to ik ..'MRIGTRISHNA" si hai jo dikhti to hai par milti nahi...!!!

Mere abbu..

Ye kavita meri dost ke abbu ke naam...


Sab ki aankon ke taare ..
har dil ke pyare mere abbu..!!!

haste the hasaate the har gum ko yun hi ..
pal bhar main bhula dete the mere abbu..!!!

na koi shikan na fikr maathe pe..
dhuyen main udha dete the har dard mere abbu.!!!

dekhte hi dekhte subha se shaam dhali..
waqt guzra , guzre waqt ke saath aaj dhal gaye mere abbu..!!!

ek dard aur pareshani main aaj kho gayi ..
wo chehre ki rounak aur meethi baatein jo dete the kabhi mere abbu...!!!

ghir aaye wo kale badal jindagi ke safar main...
reh gaye jindagi se ladte , jhoojhte hue akele aaj mere abbu..!!!

bheeg rahi thi palkein, ro rahe the deewaro der ...
par khamosh bebas pade kuch kehna chah rahe the aaj mere abbu...!!!

khade the hazaron hath duaon aur sajdon ke liye..
par lout aati thi har dua khali aaj kyun mere abbu ke liye..???

jo bachpan main sulate the kabhi..
lori dekar aaj khud hamesha ke liye so gaye kyun mere abbu..!!!

aaj apno ki bheed ne apno ko rukhsat kiya..
de gaye aaj dhokha hum sab ko mere abbu..!!!

reh gayi khuch yaadein, ghar ki deewron der par...
goonjti hain aawaazien lagta hai jaise pukar rahe ho aaj mere abbu..!!!

ho naseeb jannat, milye sukoon tumhe mere abbu..
yahi aakhri dua aaj meri kubool ho jaye ..Aameen ho jaaye..!!!