Sunday, August 18, 2019

Resham Ki Dori

Aaj subha ka manzar to bohut khushnuma tha har taraf chehal pehla thi , khushi mehsoos ho rahi thi hawaon mein rang birangi reshami dhaagon ki doriyan , kumkum ki laali aur uspar chawal ki sajawat meethi , raseeli manbhawan meethayi se saji ye thali aaj bhai behan ke payar , uski lambi umr ki dua maangti behne sath hi sath unka payar mein roothna manana kitna sundar aur yaadgaar din hai ye RAKSHABANDHAN ka palak jhapkte hi Maa ki aankon mein chand aansu khushi ke jhat se gaalon par thehar gye kahin dekh na le koi in lamhon ko jhat se palat kar apni udas aankon ko samjhya aur kaha kya karti ho kyun udas hoti ho tum , wo bhi kya karti waqt kahin peeche le gya tha use bhare poore pariwar ki hasi thitholi kahin masti hamesha mauhaul khila khila rehta ,lekin n apna waqt to jaise thamm gya tha maiyke ka aangan ab na raha na rahi wo ghar ki raunak na rahe rishte jin par naaz tha mujhe waqt badla aur badla zamana bhi , ab kya kehna ? kis se kehna ? na koi sunne wala na koi kehne wala raha samjhaya khud ko yahi ki e dil zara thehar ja na beh jana kahin udasion ki lehron mein dheere dheere bheegi palkon ko fir se sanwara fir se ek muskan chehre par umad aayi jab bhai behan ne ye pavitr Rakhshabandhan ke tayohaar se Rakhi baandhi , ye dua karti hu ki ye payar kabhi khtam na ho kitne bhi ho door rahe par dil hamesha paas rahe khush rahe , salamat rahe .

No comments: