Sunday, April 5, 2020

Geeli Miti

Ek aurat hoon main suno Geelee mitee se bani ek moorat hoon main is bedard , be murawat , zaalim duniya main janmi aur palee hu main haan na chahte hue bhi is samaj mein khud ke liye kadi hu main janzeer sirf lohe ki hi nahi , andh vishwas aur atyachaar ki bhi hain jin main jakdi hui hoon main , yahi sach hai isse sweekar karti hoon main ye kahani meri hi nahi par aaiyne ki tarah saaf tasveer hai ek naari ki is duniya mein rehna hai to apne dil ki nahi doosron ke dil ki sochu apni khushi mile na mile doosron ki khushi barkaraar rakhu kyun ????? kyun aisa kahiye ??? ye shikyat nahi meri ye awaaz hai har ek naari ki bachpan se geeli mitee si hoon , jisne chaha apne matlab ke apne swaarth ke liye use dhaala hai jab chaha use sajaya sanwar kar istemaal kiya jab chaha jhoote ki nok par rakh diya use bolo na poochti hoon aap sab se aisa jeevan bhi koi jeevan hota hai haan ek naari hoon ek aurat hoon kahin Maa kahin patni to kahin behan hoon main namm aankhein hain meri par yahi kahungi Geeli mitee se bani ek moorat hoon main jali katee aur tarsayi gayi hoon main kya yahi wajood hai mera ??? tu hi bata ye mere Maalik kya hai tera irada ? kyun itna farak kiya tune Darr aur DEHSAT hai charo aur , saanse ghutti ghutti si hai honth kampkamaate hain ... behra aur goonga ho gya hai ye samaaj cheekhti hai chilati hai meri rooh , koi to bezuban ki zaban samjhe Geeli Matee se bani ek moorat hu main Apno ne Rishton ne jab chaha saji to jab chaha aag mein tapi hoon main yahi jugon jugon se chala aaya hai , yun hi dard aur peeda sehti aayi hoon aur sehti rahungi main haan Geeli Metii se bani hu main .

No comments: