Tuesday, April 10, 2012


kehta hai wo har baar ki yu na kiya karo...
yu siskiyan na liya karo , apni hatheloin par mera naam na likha karo
mujhe yu deewano sa na chaha karo..
yahi kehta hai wo har baar ki yu na mujhse mohabbat kia karo
tadpta hai ye dil tujhe yaad kar ke tum yu na mere khawabon main aaya karo
mujhe yu na sataya karo..ye samjhta hai wo aksar mujhe ki mohabbat itni aasan bhi nahi
nange paaunv angaron par chalna bhi koi khel nahi..
ye kahne ki baatein hai par mohabbat main aisa junoon bhi har kisi main nahi..
bejaan zism main kabhi jaan ban jata hai wo , dheere se aa kar kadmo ko choom leta hai wo..
mere har marz ki dawa ban jata hai wo..meri har khushi har gum main shareek ho jata hai wo...
yahi kehta hai dil har baar mujhe , pukaru tujhe is zameen , aasman se mangu tujhe ..
kehta hai wo mujhe tu to mujhe main rahti hai kahin , jidhar dekhu tu hi dikhti hai wahi
kaise aur kahn chupaun tujhe tu to zare-zare main dikhayi deti hai mujhe..
teri saanson ko mehsoos karta hu main jab-jab yaad karta hu main
ye dua hai meri ki abb ye zindagi tere naam kar doo, ik -ik saanpar abb tera naam likh do..

No comments: