Tuesday, August 25, 2020

Apna Ghar

 Har baar jab vida leti hu ghar ki chukhat se to mann se kehti hu

 jald aaungi tujh se milne tujhse 

 apni ras bhari ,chulbuli ,natkhat baaton ko tujhse kehne aur kuch teri sunne

 tere aangan ki yaadon ki potli baandh kar sath liye ja rahi hu

dil udas ho utha tha mera kyun ki mein use behla rahi thi 

apne andar umdte sagar ko daba rahi thi 

jaanti thi ab waqt pehle jaisa nahi raha ye ghar Mera Ghar 

ab apna nahi raha , ek ,ek eenth ek ek deewar ab bik chuki thi 

bik gya tha mera hasta khelta aangan , apni chatt

apne jazbaaton ko baand kar zanjeeron se apne kadam aage badha rahi thi

apno ke payar aur lahu se bana ye Ghar ab khandhar ho gya tha yahi mann ko samjha rahi thihasi

dafan ho gyi us mein meethi , payari kuch sukh dukh ki baatein 

bachpan ki yaadein , wo bachon ke shor gul wo hasi  , to kahin bado ki daant

kahin holi ke rang to kahin deewaron par saje hue diyon ki lau

kitna sundar tha  haan humara wo Ghar beete waqt ke sath

ab yahn insan nahi unke saaye chalte firte mehsoos hote hain

khuli hui khidkion se veeraniyan jhaankti hui dikhayi deti hani

kaano mein apno ki aawaze sunayi deti hai

sochte honge log ki kya deewangi hai kya pagalpan hai mera

sach to ye hain ab kabhi dubara  nahi aasakungi is ghar mein

lekin dua karti  hu ki base har Ghar jahan payar aur vishwas ho

sirf eenth , pattar aur gaare ka na ho ye ghar 

mohabbat , bharose izzat aur payar se bharpoor ho har ghar .




No comments: